Takleef 
Takleef kab hoti hain..?
Jab main usey chahu aur woh mujhe chahe
par hum ek nahi ho sake ...
Tab takleef hoti hai 
jab woh apna pyar jataye
Aur main usey woh pyar na de paau 
Tab takleef hoti hai 
main usey taa umar chahu 
yah soch ke, ke woh meri nahi ho sakti
Tab takleef hoti hai
woh jab mere sath hoti hai,
aur main yeh sochta hu 
yeh sath kuch pal ka hai,
Tab takleef hoti hai 
Na jaane kyu woh,
meri zindagi mein aayi 
Na jaane kyu woh,
itna kareeb aayi
usse bichadne ka jab khayal aata hai
Tab takleef hoti hai 
Uska sath kuch apna sa laga
dekha tha maine jo woh sapna sa laga 
Aur yehi sapna jab toot ta hua nazar aaye
 Tab takleef hoti hai 
Socha usey kisi aise hath me du 
jo uske kaabil ho.
usye duniya ki har khushi haasil ho 
jab apne haaton ko akela paata hu 
Tab takleef hoti hai 
Bhot pyaar karta hu main usse
Apni jaan se bhi zyada pyari hai 
wo mujhe..
uski aankho me jab aansu dekhta hu
Tab takleef hoti hai 
Shayad isi takleef ke sahare 
zindagi beetegi
kuch naye log banenge,
kuch naye rishte milenge 
unhi logo me jab woh na hogi 
Tab takleef hoti hai 
Bhot takleef hogi 
Bhot takleef hogi 

Comments